Vishwaasyogya Bharosemand – Tu Wafadar Lyrics
PreChorus
Vishwaasyogya, Bharosemand, Itna Pyaara, Tu hai Prabhu
Shaktishaali, Itna Kaabil, Mere Dil Ka Raja hai Tu
Vishwaasyogya, Bharosemand, Itna Pyaara, Tu hai Prabhu
Shaktishaali, Itna Kaabil, Mere Dil Ka Raja hai Tu
Verse 1
Mere Hriday ka maalik Tu
Tujhse sab hai, aur sab mein Tu
Mere Jeene Ka Maqsad Tu
Aur sada main Tere geet gaaun
Chorus
Hey Prabhu! Tu hai Mahaan
Koi Shabd nahi jo karein Bayaan
Humesha Uncha Ho
Tera Naam
Mera Bharosa Tu
Tu Meri Chattaan
Tag
Humesha Tu Wafadar
Humesha Tu Wafadar
Verse 2
Apni aankhon ko uthaata hoon
Meri Sahaayta, Tujhme Prabhu
Meri Panaah Hai Tu, Tu meri Dhaal
Mera uncha Gadh aur Meri Chattaan
Verse 3
Mujhe Ghere Hain Tere Haath
Kahaan jaaun mein Tere Siva
Uss Kroos Par Jo Kiya Balidaan
Baha Calvary Se Woh Tera Pyaar
Chorus
Hey Prabhu! Tu hai Mahaan
Koi Shabd nahi jo karein Bayaan
Humesha Uncha Ho, Tera Naam
Mera Bharosa Tu, Tu hi Meri Chattaan
Bridge
Tu Hi Tha, Tu Hi Hai, Tu Rahega Sada
Tu Hi Tha, Tu Hi Hai, Tu Rahega Sada


